1 thought on “Dua

  1. wadana.

    jo milay hayat e khizar mujhay
    aur usay mey sarf e sana karun
    tera shukar phir bhi ada na ho
    tera shukar kaisay ada karun

    teray lutaf ki koi had nahi
    ginun kis tarah k adad nahi
    nahi koi tere siwa mera
    jisay yaad tere siwa karun

    mey bohat hi ajiz o bay nawa
    teray agay meri bisaat kya
    mey kaha karun’tu suna karay
    tu diya karay’ mey liya karun

    teray dar pe kham rahay sar mera
    teri rahmato main guzar mera
    koi bhool ho’ to maf ker
    mujhay bakhsh day’ jo khatta karun

Comments are closed.